Dear sir/madam,
Me bahut sari chije credit card se kharidta hu. Jabki mera salary account same branch me he. Aur ye sabhi chijo pe smart emi karvaya he. Smart emi karvane ke baad bhi bank vale customer se extra charges le rahe he, jiska proof me attach karke yaha pe rakh raha hu. Auto pay khud katte he. Aur khud return bhi karte he. Uske baad uske charges customer se hi vasulte he. Koi hafta miss nahi hoga to bhi late fee ka charges add kar dete he. Financial charges add karte he. Jabki gst already lag chukka he to bhi sahi tarike se uska implementation nahi kar rahe he bank wale. Yane clear cut baat he galti bank kare aur saja customer bhukte. Ye to customer ko lutne ka dhandha bana diya he. Aisa hi chalega to muje credit card use karna nahi he. Customer ko lutna bank ka pesa ban chuka he.
Agar isme kuchh nahi kiya bank ne to consumer forum act ke mujab bank ko written application bheji jayegi. Jisse bank satark rahe. Aur iska hal nikale. Me nahi chahta ki bank ki reputation kharab ho. Kuchh bhi nahi kiya to fir muje case media me highlight karna padega.
Was this information helpful? |
Post your Comment