Address: Satna, Madhya Pradesh, 485775 |
Mera nam rajkumar pandey mai amarpatan ka hu. Mai 27jun 2015 se 07oct 2017 tk jail me ta avi meri jamanat huyi hai. Meri do policy ti hdfc life 14645712 or 14589320, jiski policy bond ghum gayi ti jab policy me mujhe pakda ta us samay mere pass ti usi time mere se kahi mera bag for gaya ta jis karan se mere savi original bond adhar card pan card atm or sab ghum gaya uske bad mai jail chala gaya, or meri jamanat avi 07oct 2015 ko huyi hai to mai bahar aaya hu, jab mai branch me gaya to mujhe pta chala ki meri policy ke paise 2016 me kisi ne pahle hi nikal lie hai. Jab mai jail me ta tab kisi me mere policy ka use karke kisi mail se msg karke paise nikal lia hai. Jis account me paisa gaya hai axis bank ke account me vo account vi mera nahi hai. Us account ko axis bank me 2016 me open kia hai or use mere dono policy ke paise gaye hai. Mai axis bank ke khilap to report likhwa dia hu ki jab mai bank me aaya nhi to mere pan card or adhar se mera account jaise unone open kia. Or ap log bina varify kie huye meri policy surrender kaise kar die. Apko ek bar mere ghar aana chahiye ya mere family member se milna chahiye, ya mere sign match karna chahiye lakin kuch ni kia ap logo ke, bs kisi me mail kia i'd de di or paisa ap de diye, apke jaise kon sa bank hai jo bina sigh match kie huye policy surrender kar die.
Mai branch gaya to bolte hai ki kuch nhi kar sakte hai ap mail daliye or social media se direct uper ke executive se bat kijiye. Call centre me call kro to vo sab bolte hai ki nhi milega ham kuch nhi karte hai... Mai to apne paise lene ke lie savi jagah jauga chahe court me vo case 10 sal chale, pure media me kharab kruga vo vi paise de ke, jisse logo ko pta chale ki apke yha ki service kitni acchi hai, koi kisi ka vi paisa nikalwa sakta hai ydi kisi ki i'd pa jata hai to.
Meri policy no: 14645712, 14589320
Avi tk to mai pension plan wali policy ka paisa bhul jata ni nikalwa lakin tumne jab kisi ko nikal ke dia hai to ab mujhe apne dono policy ka paisa 10 din ke ander chahiye... Mai 2 din ka time de rha hu resolvation chahiye, dena hai ya nhi,,, nahi to 3 din mai court pahuch jauga,, or apna paisa leke manuga chahe kuch vi ho jaye... Jisne vi ye kia hai usko pakdo ye tumara kam hai mera kam nahi hai, mai axis bank or tumko dono ko btata hu. Mere pass pure paper hai jis din arrast hua us din ke vi paper hai or jis din bail huyi hai us din ki vi jamanat hai, apke branch me jo axis bank ka account no dia ta uske bare me mai khud ja ke pata kia hu to dekha hu ki us account ko open karne ke lie 10000 dia gaya ta or jo paise aye hai meri policy bs ke hi aye hai... Tumne ydi match kar lia hita to ye sab na hota. Sala tumare jaise ghatia bank me kisi ka vi paisa save nhi hai. Branch me tumare koi sun me ke lie taiyar nhi hai. Sab bolte h ki hme nhi pta branch se request nhi gayi hai mail se request ki gayi, hmare branch me request ati to cctv me record hota ti hm dekh ke bta sakte hai... Isiliye yha tumse bol rhe.
Apke branch me meri complain ko nhi lia gaya hai to mai ek cm, collector, pm teno logo ko uski ek ek copy fax kar dia hu,,,,,, jab se bajar aaya tab se mail mail kie ja rja hu avi tk koi response nhi mil rha hai...
Satna
Satna ki branch me jate jate thak gaya lakin vo log ye bol dete hai ki khud hi nikal lie hoge, tum criminal ho jail ja chuke ho ab complained le ke ate ho. Meri wife ke nam hai, mujhe policy no nhi pta hai, mai policy no picha to bolte hai ki time nhi hai mujhe nahi pta hai... Kya pta uska vi paisa koi nikal lia ho, mamta pandey ke nam se uski policy hai, address - ward no 3 paddkka amarpatan did satna m. P... Mujhe kuch dino ki hi bail mili hai, mujhe 4 tarik ko pir se surrender karna hai ja ke... Uske pahle mujheere paise chahiye... Mere ghar ki halat ye hai light ka bill tak jama na hone ke karan light cut ho gyi hai... Ek rupes nhi hai.. Ydi mere pass paise hote to mai direct consumer court jata na ki apse bat karta.
Was this information helpful?
Post your Comment