Sir/madam, mujhe 4th february 2020 me ek call aya tha qns enterprise se.. Wo madam keh raha tha ki 1000 form 10 din me fill karna hein aur kam hone ke baad mujhe wo log 20000 rupees pay karegi. Aur ye bhi bola ki ek verification call ayegi aap bas yes bolte rehna. Ye bhi kaha ki verification call me ye bolega ki agar ap kam nehi karoge to penalty dena hoga par aisa kuch nahi. Wo bas sure hone keliye aisa kahega.. Fir wo log mujhe 1000 forms diya.. Lekin bad me mujhe pata chala ki wo company fraud hein.. Ar search karne par un sabhi ka phone number fraud bol raha tha.. Achanak ek aur call aya ar us call pe ek ladki mujhe bola ki aap jo kam pe lage ho wo kaam karne ke baad aap ko 20000 milega hume 500 form de do.. Hum fill up kar denge aur aap hume 50% advance me de do.. To main sure ho gaya ki yeh fraud hi hein aur main log in karna hi chor diya.. Abhi wo log call karke threat kar raha hein ar keh raha he ki fine dena hoga. Main bahut hi garib ghar ki hoon. Ab main kiya karu?? Mujhe bachaiye plss.. Was this information helpful? |
Post your Comment