Address: 160055 | Website: www.rudrakshgroup.in |
Me manoj kumar sikar rajasthan se hu aap sab ki maill id maine net se search krke mail kr rha hu..maine rudraksh group ka news paper me advertisement dekh ke call kiya tha. jisme mujhe kha gya ki aapko canada me job provide kra di jayegi or aapse advance me koi bhi amount nhi lege sab paisa job hone ke bad dena padega isliye aap apne document submit krwane ke liye mohali aana padega. me august month 2014 ko rudraksh group me gya waha mere se mere sare document ki copy or photo li gayi.uske 10 days bad call krke btaya gya ki aapka job four seasons hotel canada me ho gya aapko 30, 560/-(refundable) deposite krna hoga. maine 30, 560/- 13 sep.2014 ka rudraksh group me deposite kiya or mujhe ek slip bhi amount paid ki di gayi usake bad mujhe kaha gya ki 70, 000/- rupees or deposite krna hoga. lekin 10 days bad mujhe bola gya ki 2, 00, 000/- rupees deposite krna hoga. isase mujhe sak huwa or maine aage paisa deposite nhi kiya. fir maine unse 30560/- wapis mange to mujhe bolte h ye paisa to tumhra charge me lag gya,
Sir ab mai kya kru mai ye sab paisa byaj me leke jama krwaya tha mujhe job bhi nhi mila or paisa bhi wapis nhi de rhe h... roj roj mere se mohali bhi nhi aa skta kyuki mere pas itna paisa bhi nhi h ... so sir please inke against koi action lijiye jinse mera paisa vapis mil sake
or sir ye rudraksh group kisi ka kam nhi krwata h sabse paise le leta h
ye apna har news paper me daily add deta h jisase inke pas mere jaise pata nhi kitne log fs jate h..please sir/madam mera amount dilwane ki kripa kare
Thanks & Regards
Manoj Kumar
sikar (Raj.)
[protected] Was this information helpful? |