Address: Vapi, Valsad, Gujarat |
My name is rahul vishwakarma
Akt enterprise ki taraf se mujhe 9-10 din pahle call aya online data entry job ke liye jisme 7 dino me 7000 captcha 90% accuracy ke saath fill karna tha to maine ha kar diya fir company walo ne mera ek fake agreement karaya mera photo aadhar and sign manga maine send kar diya aur us agreement me likha tha ki aapne agar time par kaam poora karke na diya ya na kar paye to aapko company ke term and condition ke according company ki registration fee pay karni padegi 5100 rs/-
Maine kaam shuru kar diya captcha me jo letter type karna tha uske letter bilkul samajh me nhi aa rhe the aur i, i, l and | ke beech difference karna bahut mushkil tha main call karke batay bhi par koi response nhi mila fir mujhe samajh me aya ki ye farzi kaam h fir maine kaam band kar diya fir mujhe 10 din baad mujhe ek message aya ki aapke khilaf (Section-420 ke tahat
Case number[protected] file hua hai fir mujhe mere e-mail i’d par ek notice aya jo ki koi advocate minhaz mo no:-[protected]) ki taraf se tha aur ek dusra e-mail riya sharma ka tha fir next day call aya ki aapke khilaf vapi (Gujarat) me case file kiya gya aapke ghar ek notice bheja jayega aapko panalty pay karna padega company ko loss hua hai aur mujhe pay karne ke liye force kiya ja rha hai aur mujhe dhamkaya ja rha hai
So kindly please help me
Was this information helpful? |
Post your Comment