Address: Canal colony ratia |
Respected team cars24 mai dinesh dhingra Abohar punjab se hoo sir maine 27aug ko ek tuv300 purchase ki thi.delivery ke time hi car me problem thi.lekin company employee ne mere ko bola ke 7 day ki return policy hai aap gaadi check karwa leejiye ga.mai car le aaya to 3/4 din baad mere ko emergency me CMC hissar me jaana pada.aur 2 September ko maine return ki request raise Kar di.to mere ko company se calls aani shuru ho gyi jab baat nahi bani to company walo ne mere ko kayi baar phone karke ye bola ke hum gaadi lene aa rahe hai lekin koi bhi nahi aaya. Aur mai bhi jaa nahi sakta tha kyoki mere bhanje ka oprate hue the apendex aur baad me lungs me paani bhar gya tha.hospital me hi humme 20-21 din lag gaye par gaadi lene koi nahi aaya.baad me jab maine baat ki to meri baat ko taal matol karte rahe aur 15/20 din aur nikaal diye gye. Fir October me mr.gourav (company employee) ne mere ko oct se nov 15 tak baar phone karke ye bola ke sir aap gaadi pasand karke laaye the aap wapis mat kariye g m gaadi ko repair karwa dete hai.maine haa bol diya to usne bola ke gaadi ki problem bataiye maine bataya to us ne bola hum aapki gaadi pick karwate hai.humari team aapko contact kar le gi.nov se December aa gya par team nahi aayi.fir maine contact Kiya to mere ko bola gya ke aapke pincode se gaadi pick nahi ki jaa sakti.jyada kehne par mere ko yahi kaha gya ke hum higher authority me baat karenge aapko 24 se 48 hours me call aa jayegi.kam se kam 15/20 calls maine ki par gaadi pick nahi ki gayi tab maine khud January ke first week me gaadi Ludhiana (cars24 delivery office)me bheji apne kharch par aur full insurance bhi karwaya.ab 2 mahine hone ko aaye hai naa to meri gaadi repair karke di jaa rahi hai or naa return ki jaa rahi hai.mere ko ye bola jaa raha hai ke warranty me car repair nahi ho sakti.
Mere ko ye bataiye ke jab gaadi me first day se hi problem thi toh warranty ka kya issue mai toh gaadi return kar raha tha.mere saath company galat kar rahi hai.mai 3/4 din reply ka wait karoonga.nahi to mujhe kuch na kuch karna padega kyoki mai bhi pareshani me hoo. Was this information helpful? |
Post your Comment